Latest Urdu Poertry Biography
Source (google.com.pk)
mujhe bhi yaad rakhna jab likho tareekh-e-wafa saqi
k main ne b lutaya hai muhabbat main sukoon apna
Submit By: Muhammad Farooq
See Complete SMS
poetry
youn rah-e-wafa ki saleb per
do qadam uthane ka shukriya
barra purkhatar tha ye rasta
tere lot jane ka shukriya
jo udas hain tere hijr main
jinhain bojh lagti hai zindagi
sar-e-bazm youn unhain dekh kar
tere muskurane ka shukriya
teri yad kis kis bhes main
mere sher-o-naghma main dhal gai
ye kamal tha teri yaad ka
mujhe yaad aane ka shukriya
jo zamane bhar ka usool tha
wo usool tu ne nibha dia
yehi rasm thehri hai motbar
mujhe bhool jane ka shukriya
Submit By: Muhammad farooq
See Complete SMS
Kisi ko deni ho jawani main saza
koi chez be-wafai se barh ker kia hogi,
Ghum-e-tanhai judai se barh ker kia hogi,
Kisi ko deni ho jawani main saza,
to wo saza PARHAI se barh ker kia hogi:-)
Submit By: Muhamamd Faisal
See Complete SMS
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….
Submit By: Muhamamd Faisal
See Complete SMS
Umeed
main ne poocha kaise ho
badle ho ya waisy ho
roop wohi andaaz wohi
ya phir is main koi kami
hijr ka kch ahsas to hoga
koi tmharay paas to hoga
main bichra ye majboori thi
kab manzoor mjhe doori thi
ankh se jo ansu behtay hain
tm ko habr ha kya kehtay hain
ik din hm mil jaen gay
phool wafa k khil jaen gay
Submit By: Anees Khawaja
See Complete SMS
ANSOO
Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu
khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu
Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu
Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu
Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu
Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu
Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu
Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu
Ek muddat sey jiesy dil ney bhula rakha tha
Aaj pakho pa wo tasveer baney hein Ansu
Jisny tanha mujhy rota hua chora tha
Aaj tak uskey lia likh hi rahey hain Ansu
Submit By: ROSHNI
See Complete SMS
A LOVE STORY
IK LARKI IK GALI SE GUZRA KARTI THI US K CHERAY PE NAQAB HOA KARTA THA, IK LARKA USE ROZ DEKHTA THA SHAID WO USE DIL SE CHATA THA,
WAQT GUZARTA RAHA SILSILA YUNHI CHALTA RAHA,
IK DIN US LARKI KO WO LARKA NA DEKHA WO LARKI POHANCHI US K PAROSI K PASS PHIR PAROSI NE BATAYA APP KO ANY M DER HO GAI US DEWANE KI TO MAUT HOGAI,
PAROSI NE APNA FARZ NIBHAYA LARKI KO QABAR TAK LAYA,
LARKI PHOOT PHOOT KAR RONE LAGI APNE ANSOON SE QABAR DHONE LAGI,
TAB ANDAR SE IK AWAZ AII AYE MERE RAB YE KESA INQALAB AYA AJ M PARDE M HOON OR MERA MEHBOOB BE NAQAB AYA........
Submit By: roshni
See Complete SMS
ghazal
main kisi or ka hon itna bata kar roya
wo mujhe mehndi lage haath dikha kar roya
mujhe anjam-e-muhabbat nahi maloom hargiz
ye kaha or mujhe seene se laga kar roya
jo muje zabt ki talqeen kia karta tha
wo zamane ko mera haal suna kar roya
aansoo ban kar na nikal jaoon kaheen is dar se
apne ashkon ko wo ankhon main chupa kar roya
wasal ka aakhri lamha jo muyyasar tha hamen
ussi lamhon main wo sadion ko smo kar roya
Submit By: Muhammad farooq
See Complete SMS
mai khud ko bhool jati hoon
Nazar jb tum say milti hay mai khud ko bhool jati hoon,
Bas ik dharkan dharakti hay mai khud ko bhool jati hoon,
Tumhain milnay say pehlay mai bohot sajti sanwrti hoon,
Magar jb tum sanwartay ho mai khud ko bhool jati hoon,
Mai aksar he ye kehti hoon mai tum say pyar karti hoon,
Magar jb tum ye kehtay ho mai khud ko bhool jati ho0n.
Submit By: xoom!!
See Complete SMS
HOTI HAI TERE NAAM SY
Hoti hai tere naam se vehshat kabhi-kabhi
barham huee hai yoon bhi tabiyat kabhi-kabhi
ae dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
milti hai zindagi mein ye raahat kabhi-kabhi
tere karam se ae alam-e-husn-e-aafreen
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi-kabhi
josh-e-junoon mein dard ki tugyaaniyon ke saath
ashkon mein dhal gaee teri soorat kabhi-kabhi
tere qareeb reh ke bhi dil mutmaeen na tha
guzri hai mujh pe ye bhi qayaamat kabhi-kabhi
kuch apna hosh tha na tumhara khayaal tha
yoon bhi guzar gaee shab-e-furqat kabhi-kabhi
ae dost hamne tarq-e-mohabbat ke baawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi-kabhi.
Submit By: roshni
See Complete SMS
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
Latest Urdu Poertry
No comments:
Post a Comment