Friday, 24 January 2014

Famous Urdu Poems

Famous Urdu Poems Biography

Source(google.com.pk)
[TABLE="width: 100%, align: center"]
[TR]
[TD="colspan: 3, align: center"]Agarche main ik chattaan sa admi raha hon,
magar terey baad hosla hai ke ji raha hon,

voh reeza reeza merey badan mein utar raha hai,
main qatra qatra usi ki aankh ko pi raha hon,

teri hatheeli pe kis ne likha hai qatal mera,
muje to lagta hai main tera dost b raha hon,

khuli hain ankhain magar badan hai tamam pather,
koi bataye main mar chuka hon ke Ji raha hon,

kahan milegi misaal meri sitamgari ki ?
k main gulabon ke zakham kanton se si raha hon,

na puch muj se ke shehar walon ka hal kia tha,
k main to khud apne ghar mein do gharri raha hon,

mila to beetey dinon ka sach uski ankh mein tha,
voh aashna jis se mudatton ajnabi raha hon,

bhula de muj ko ke be-vafayee baja hai laken,
ganva na muj ko ke main teri zindagi raha hon,

voh ajnabi ban ke ab miley b to kia hai 'Mohsin',
yeh naz kam hai ke main b us ka kabi raha hon.[/TD]
[/TR]
[TR]
[TD="colspan: 3"][/TD]
[/TR]
[/TABLE]

Syed Mohsin Naqvi was a great Urdu language poet of Pakistan. He is believed to have been murdered on 15 January 1996. He was born in a village Sadat near Dera Ghazi Khan. He did his Graduation from Govt. College Bosan Road Multan. The secret of his life is that his actual Name was Ghulam Abbas. He did his masters from University of the Punjab Lahore. Before his arrival at Lahore he was well known as Mohsin Naqvi. He was also known as the Poet of Ahl al-Bayt. His poetry is well accepted and recited all over World.

Famous Books

Following are the famous Urdu poetry books of Syed Mohsin Naqvi​

[*=center]Azaab-e-Deed عذاب دید
[*=center]Khaima-e-Jaan خیمہء جاں
[*=center]Berg-e-Sehra برگ سحرا
[*=center]Band-e-Kbaa بند قبا
[*=center]moje-idraak
[*=center]Taloo-e-ashk
[*=center]Furat-e-fikr
[*=center]Reza-e-harf
[*=center]Rakht-e-shab
[*=center]Rida-e-khwab
[*=center]Haq-e-Aeliya



[TABLE="width: 100%, align: center"]
[TR]
[TD="colspan: 3, align: center"]Phir vohi main hon vohi shehar badar sannata,
mujko dass ley na kahin khaak basar sannata,

dasht e hasti mein shab e gum ki sehar karney ko,
hijar valon ne liya rakhat e safar sannata,

kis se puchon k kahan hai mera roney vala,
is taraf mein hon, merey ghar se udhar sannata,

tu sadaaon k bhanvar mein muje avaz to dey,
tuj ko dey ga merey honey ki khabar sannata,

us ko hungama manzil ki khabar kia do gey ?
jis ne paya ho sir e rahguzar sannata,

hasil kunj e qufas , veham bakaf tanhai,
ronaq e shaam e safar , ta ba sehar sannata,

qismat e sha'ir e seemaab sifat , 
dasht ki mout,qeemat e reeza almaas e hunar sannata,

Jaan e 'Mohsin' meri taqdeer mein kab likha hai,dobta chaand , tera qurb , gajar , sannata. [/TD]
[/TR]
[TR]
[TD="colspan: 3"][/TD]
[/TR]
[/TABLE]

Famous Urdu Poems

Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems
Famous Urdu Poems

No comments:

Post a Comment