Monday, 20 January 2014

Best Urdu Shayri

Best Urdu Shayri Biography

Source (google.com.pk)
vo bulaaye.n to kyaa tamaashaa ho
ham na jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

ye kinaaro.n se khelane vaale
Duub jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

bandaa_parvar jo ham pe guzarii hai
ham bataaye.n to kyaa tamaashaa ho

aaj ham bhii terii vafaao.n par
muskuraaye.n to kyaa tamaashaa ho

terii suurat jo ittefaaq se ham
bhuul jaaye.n to kyaa tamaashaa ho

vaqt kii chand sa’ate.n ‘Sagar’
lauT aaye.n to kyaa tamaashaa ho

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Sagar Siddiqui


  

14
Tags: Best Urdu Poetry, Sagar Siddiqui, Sagar Siddiqui Poetry, Sagar Siddiqui Shayari

Wo baten teri wo fasane tere-Abdul Hameed Adam

wo baten teri wo fasane tere
shagufta shagufta bahane tere
bas ek zakhm nazzara hissa mera
baharen teri aashiyane tere
bas ek dag-e-sajda meri qayenat
jabinen teri aastane tere
zamir-e-sadaf mein kiran ka muqam
anokhe anokhe thikane tere
faqiron ka jamaghat ghadi do ghadi
sharaben teri badakhane tere
bahar-o-khizan kam nigahon ke vaham
bure ya bhale sab zamane tere
“adam” bhi hai tera hikayatkadah
kahan tak gaye hain fasane tere

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam: Abdul Hameed Adam


14
Tags: Abdul Hameed Adam, Abdul Hameed Adam Poetry, Abdul Hameed Adam Shayari, Best Urdu Poetry, Shagi

Wo apne chehare mein sau afatab rakhte hain-Hasrat Jaipuri

wo apne chehare mein sau afatab rakhte hain
is liye to wo rukh pe naqab rakhte hain
wo pas baithe to aati hai dilab\ruba khushbu
wo apne hothon pe khilate gulab rakhte hain
har ek varq mein tum hi tum ho jan-e-mahabubi
hum apne dil ke kuch aisi kitab rakhte hain
jahan-e-ishq mein sohani kaheen dikhai de
hum apni aankh mein kitne chenab rakhte hain

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Hasrat Jaipuri


14
Tags: Best Urdu Poetry, Hasrat Jaipuri, Hasrat Jaipuri Poetry, Hasrat Jaipuri Shayari

Wo anjuman mein raat badi shan se gaye-Saeed Rahi

wo anjuman mein raat badi shan se gaye
iman cheez kya thi kai jan se gaye
main to chupa hua tha hazaron naqab mein
lekin akele dekh ke pehchan se gaye
wo shama ban ke khud hi akele jala kiya
paravane kal ke raat pareshan se gaye
aaya tera salam na aaya hai khat koi
hum aakhiri safar ke bhi saman se gaye
“rahi” jinhen khuda bhi na samajha saka kabhi
baithe bithaye dekh lo ab man se gaye

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Saeed Rahi


14
Tags: Best Urdu Poetry, Saeed Rahi, Saeed Rahi Poetry, Saeed Rahi Shayari

Wo aake khwab mein taskin-e-iztirab to de-Mirza Ghalib

wo aake khwab mein taskin-e-iztirab to de
wale mujhe tapish-e-dil majal-e-khwab to de
kare hai qatl lagavat mein tera ro dena
teri tarah koi teg-e-nigah ko aab to de
dikhake jumbish-e-lab hi tamam kar hamako
na de jo bosa to muh se kaheen javab to de
pila de oak se saqi jo hum se nafrat hai
pyala gar nahi deta na de, sharab to de
‘asad’ khushi se mere hath panv phul gae
kaha jo us ne zara mere panv dab to de
poet of the poems/ghazal or nazam:mustafa zaidi

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Mirza Ghalib


14
Tags: Best Urdu Poetry, Mirza Ghalib, Mirza Ghalib Poetry, Mirza Ghalib Shairy

wo ahad ahad hi kya jise nibhao bhi-Mustafa Zaidi

wo ahad ahad hi kya jise nibhao bhi
hamare vada-e-ulfat ko bhool jao bhi

bhala kahan ke hum aise guman wale hain
hazar bar hum aayen hamen bulao bhi

bigad chala hai bahut rasm-e-khudkushi ka chalan
darne valo kisi roz kar dikhao bhi
tumhari neend mein dubi hui aankhon ke qasam
hamen ye zid hai ki jago bhi aur jagao bhi

Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Mustafa Zaidi


14
Tags: Best Urdu Poetry, Mustafa Zaidi, Mustafa Zaidi Poetry, Mustafa Zaidi Shayari

dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun -Ameer Minai

us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun

dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke use hal sunaun to suna bhi na sakun

us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun

naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade
sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun
bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun

Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Ameer Minai


14
Tags: Ameer minai, Ameer Minai Poetry, Ameer Minai Shayari, Best Urdu Poetry

haye kin ganimon se aa pada hai ran mera -Abdullah Kamaal

us ke jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera
us ke band mutthi mein sara bankpan mera
aao aj hum donon apna apna ghar chun lain
tum tabah-e-dil le lo khitta-e-badan mera
main ne apne chehare pe sab hunar sajaye the
fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera
dil bhi kho gaya shayad shahar ke surabon mein
ab meri tarah se hai dard bevatan mera
ek dasht-e-khamoshi ab hmera muqaddar hai
yaad besada teri zakhm bechaman mera
roz apni aankhon ke khwab khoon karta hun
haye kin ganimon se aa pada hai ran mera
magrabi hawa ne phir ye sandesha bheja hai
muntazir tumhara hai khushbuon ka ban mera

Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Abdullah Kamaal
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri
Best Urdu Shayri

No comments:

Post a Comment