Thursday, 23 January 2014

Urdu Ghazals in Urdu

Urdu Ghazals in Urdu Biography

Source (google.com.pk)
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
aashiqii sabrtalab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuuN Khuunejigar hone tak
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tumako Khabar hone tak
Gamehastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj
shamm’a har rang men jaltii hai sahar hone tak
Sar: Beginning, Chief, Desire, Epilepsy, Head, Origin, Pinnacle, Top
Sabr-talab: Suppressed desires(?)
Jigar: Courage, Liver, Heart, Soul, Mind, Vitals
Tagaaful: Apathy, Ignore, Indifference,Neglect, Negligence
Khaak: Ashes, Dust, Dirt, Earth, Land
Gham-e-hastii: Life of Sorrow
Asad: A reference to the poet, Mirza Ghalib, whose full name was Mirza Asadullah Baig Khan. He originally assumed the pen name ‘Asad’
Juz: Other Than
Juz Marg: Besides Death
Sahar: Dawn, Morning
A sigh takes a life time to bear fruit,
wonder who'd live till you've unveiled your beauty.
My love is patient, my desires ardent,
wonder what is the apt state for my heart before it perishes.
Agreed you'll not be oblivious
But till you get to know of it (my pain, my love), I might be long gone.
The grief that personifies my existence has no cure,
a candle finds it completion only by burning till the dawn breaks.
  Listen to Mirza Ghalib's 'Aah ko chahiye' - Jagjit Singh 
  Aah ko chahiye by Ghulam Ali 
  Song by Pakistani singer Faraz 
  By the immortal Ustad Mehdi Hassan 

Aaina mujse meri pehli si surat mange
Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
Waqt likhta raha chere pe har pal ka hishab
 
Meri shorat meri diwangi ki nazar hui
Pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab

Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola muje mein bhi ishe bhool gaya

Mera fan phir muje bazaar mein le aaya hai
Yeh vo jagah ke jahan mero vafa bikate hain
Baap bikate hain aur lakhte jigar bikate hain
Kookh bikati hain dil bikate hain sar bikate hain

Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paya
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paayaa
Mere aheshas mere phool kahin aur chale
Bol pujaa meri bachi kahin aur chale aur chale

  Aaina Mujhse Meri - Talat Aziz (from movie Daddy) 

Aaj jaane ki zid na karo - Faiyaz Hashmi
aaj jaane ki zid naa karo (3)
yoon hi pehloo mein baithe raho (2)
aaj jaane ki zid naa karo
(haaye mar jayenge hum to loot jayenge
aisi baatein kiya na karo
aaj jaane ki zid na karo (2)) (2)
tum hi socho zaraa kyon naa roke tumhe
jaan jaati hai jab uthake jaate ho tum (2)
tum ko apni kasam jaan-e-jaan
baat itni meri maan lo
aaj jaane ki zid na karo
yoon hi pehloo mein baithe raho (2)
aaj jaane ki zid na karo
haaye mar jayenge hum to loot jayenge
aisi baatein kiya na karo
aaj jaane ki zid na karo
waqt ki kaid mein zindagi hai magar (2)
chand ghadiyan yehi hai jo aazaad hai (2)
inko khokar main jee jaan-e-jaan
umra bhar na taraste raho
aaj jaane ki zid na karo
haaye mar jayenge hum to loot jayenge
aisi baatein kiya na karo
aaj jaane ki zid na karo
kitna maasoom rangeen hai yeh samaa
husn aur ishq ki aaj mein raaj hai (2)
kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko
Meiraaj: A series of steps or stairs; a, ladder upon which souls ascend when taken from their bodies

  The quintessential rendition by Farida Khanum 
  Shankar Tucker has added his own unique style to the music 
  Rendition by Shafqat Amanat Ali 

Aap ki yaad aatee rahee
aap kee yaad, aatee rahee raatbhar
chashma-ye-nam muskuraatee rahee raatbhar
 
raatabhar dard kee, shamaa jaltee rahee
gam kee lau, thartharatee rahee raatbhar
 
bansuri kee sureeli suhanee sadaa
yaad ban ban ke, aatee rahee raatbhar
 
yaad ke chaand, dil mein utarate rahe
chaandni jagmagaatee rahee raatbhar
 
koi diwaana galiyon mein firtaa rahaa
koi aawaz, aatee rahee raatbhar

  Aapki Yaad song by Chhaya Ganguly (from film Gaman) 
  Sung by Ahmad Jahanzeb 

Aap ko dekh kar, dekhta reh gaya - Aziz Qaizi
aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa
kyaa kahuN aur kahane ko kyaa rah gayaa
unki aaNkhon se kaise chhalakane lagaa
mere honThon pe jo maajaraa rah gayaa
aise bichha.De sabhii raah ke mo.D par
aaKharii ham-safar raastaa rah gayaa
soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye
jaaneman jo yahaaN rah gayaa rah gayaa

  Ghazal concert by Jagjit Singh 

Aawargi - Mohsin Naqavi
“bade wasooq se duniya fareb deti hai
bade khuloos se hum aitbaar karte hain”
yeh dil yeh pagal dil mera, kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha, vo kya hua aawargi
kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi
ek tuu ke sadiyon se mere, humraah bhi humraaz bhi
ek mein kii tere naam se, na-aashana aawaragi
ye dard kii tanahaaiyaa.N, ye dasht kaa viiraa.n safar
ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavaargii
ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gam ka sabab
sehra ki bheegi ret par, main ne likha aawargi
kal raat tanha chand ko, dekha tha main ne khwab main
“mohsin” mujhay rass ayegi, shayad sada aawargi
Dasht: Desert, Hands, Jungle, Wilderness
Shab: Night
Sadiyon: Centuries
Ham-Raah: Fellow traveler
Ham-Raaz: Confidant
Na-aashnaa: Not Acquainted, Stranger
Uktaa jaana: Get Bored
Sabab: Cause, Occasion, Reason
Raas aanaa: To Find Suitable, Like

  Awargi by Ghulam Ali 

Ab ke ham bichhde - Ahmed Faraz
ab ke ham bichhde to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah sukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n
dhuu.NDh ujade hue logo.n mein vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n mein milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n mein mile.n
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n
aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n mein mile.n
ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraz’,
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n mein mile.n
Vafaa: Fulfilling A Promise, Fulfillment, Fidelity, Faithful
Kharaab: Bad, Depraved, Spoiled
Hijaab: Bashfulness, Coyness, Curtain
Daar: Country Gallows, Having, Holding, House, Mansion
Khiinchna: Drawing, dragging
Nisaab: Root, origin
Maazi: Past , Yore
Saraab: Mirage, Illusion

  Live version - Mehdi Hassan 

Apni dhun mein rehtaa huu.N - Nasir Kazmi
apnii dhun mein rehtaa huu.N
mai.n bhii tere jaisaa huu.N
o pichhalii rut ke saathii
ab ke baras mai.n tanhaa huu.N
terii galii me.n saaraa din
dukh ke kankar chunataa huu.N
mujh se aa.Nkh milaaye kaun
mai.n teraa aa_iinaa huu.N
meraa diyaa jalaaye kaun
mai.n teraa Khaalii kamraa huu.N
tuu jiivan kii bharii galii
mai.n jangal kaa rastaa huu.N
apanii lahar hai apanaa rog
dariyaa huu.N aur pyaasaa huu.N
aatii rut mujhe royegii
jaatii rut kaa jho.Nkaa huu.N
Dhun: Whim, Zeal
Lahar: Ecstasy, Emotion, Excitement, Rapture, Waft, Wave
Rog: Illness, Bad Habit, Botheration, Entanglement, Embarrassment

  Ghazal by Ghulam Ali 

Aye husn-e-beparwah
aye husn-e-beparwah tujhe shabnam kahoon shola kahoon
phoolon mein bhi shokhi to hai kisko magar tujhsa kahoon
gesu udhe, mehki fazaa, jaadoo kare aankhen teri
soya hua manzar kahoon ya jaagta sapna kahoon
chanda ki tu hai chandni, lehron ki tu hai raagni
jaan-e-tamanna mein tujhe kya kya kahoon kya na kahoon
Shokhi: Coquetry, Mischief, Restlessness
Fazaa: Atmosphere, Environment
Manzar: Aspect, Countenance, Landscape, Outlook, Sight, Scene View, Visage

  Aye husne ghazal by Ghulam Ali 

Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya - Shakeel Badayuni
aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya
yun toh har shaam ummido mein guzar jaati thi
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
kabhi taqdeer ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein har gam pe rona aaya
jab hua zikr zamane mein mohabbat ka
mujh ko apane dil-e-nakaam pe rona aaya

  Begum Akhtar - Aye mohabbat tere anjam pe 
  Sung by Talat Aziz 

Baabul Moraa - Nawab Wajid Ali Shah
 
babul moraa, naihar chooto hi jaaye
chaar kahaar mile
mori doliya sajaavi re
mora apna begaana chooto jaaye
baabul moraa naihar chooto jaaye

angana to parbat bhaya
aur dehri bhayi videsh
le babul ghar aapno
main chali piya ke desh
baabul mora naihar chooto jaaye
mora naihar chooto hi jaaye

  Sung by legendary KL Saigal 
  Live concert by Jagjit Singh 
  Baabul Moraa in Raag Bhairavi by Pt Bhimsen Joshi 

Baat niklegi - Kafeel Aazer
baat niklegi to fir duur talak jaayegi
log bevajha udasi ka sabab puchhenge
yae bhi puchhenge ke tum itni pareshan kyun ho
ungliyaan uthegi sukhe huae baalon ki taraf
ek nazar dekhenge gujre huae saalon ki taraf
choodiyo.n par bhi kai tanz kiye jaayenge.n
kaampte haatho.n pe bhi fikr-e-kas-e-jaayenge
log zaalim hai har ik baat ka taana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayenge
unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chahere ke taasur se samaj jaayenge
chahe kuchh bhi ho sawaalaat na karna unse
mere baare mein koi baat na karna unse
baat niklegi to duur talak jaayegi
Talak: Till
Sabab: Cause, Occasion, Reason, Relationship
Tanz: Jest, Irony, Laugh, Quirk, Sarcasm Satire, Wisecrack, Witticism
Kas: Man, Person, Tenacity
Taasur: Affect
Samajh: Judgement,

Urdu Ghazals in Urdu

Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu
Urdu Ghazals in Urdu

No comments:

Post a Comment